Wednesday, April 8, 2009

KIDHAR JAOGE....



Ghar se nikale to ho socha hai kidhar jaoge,
Har taraf tej hawae hai bikhar jaoge.
Itna aasan nahi labzo par bharosa karna,
Ghar ki dehleez pukaregi jidhar jaoge.
Shaam hote hi simat jayege sare raste,
Bahte dariya se jaha hoge thehar jaoge.
Har shahar me kuch rate kali hoti hai,
Ghar se divare juda hogi to dar jaoge.
Pehle har chiz naraz aayegi bemani si,
Or fir apni hi nazro se utar jaoge.

1 comment:

  1. Itna sab kuchh achha likhke, ander se doobkar likhke , jazbaton mein vehkar likhke, hindi ko angrezi mein likhne ki kya jaroorat thi, samjh mein nahi aaya....?
    Darshan Darvesh
    (darvesh@37.com) http;//darveshjee.blogspot.com

    ReplyDelete