Friday, April 17, 2009

DOST KEHNA HI DOSTI NAHI HOTI...


Mat intzar karao hume itana
Ki woqt ke faisale par afsos ho jaye.
Kya pata kal tum lautkar aao,
Or hum khamosh ho jaye.
Durion se farak padta nahi,
Baat to dilo ki nazdikio se hoti hai.
Dosti to kuch aap jaiso se hai,
Verna mulakat to jane kitano se hoti hai.
Dil se khelna hume aata nahi,
Isliye ishq ki bazi hum haar gaye.
Shayad meri zindagi se bahut pyar tha unhe,
Isliye mujhe zinda hi maar gaye.
Man lugin aapko ruthkar to dekho,
Jod lugi aapko tutkar to dekho.
Nada hu par itani bhi nahi,
Thaam lugi aapko chhutkar to dekho.
Log mohabbat ko khuda ka naam dete hai,
Koi karta hai to ilzaam dete hai.
Kehte hai paththar dil roya nahi karte,
Or paththar ke rone ko jharne ka naam dete hai.
Bhigi aankhon se muskurane me maza or hai,
Haste haste palake bhigne me maza or hai,
Baat keh ke to koi bhi samaz leta hai,
Par khamoshi koi samjhe to maza or hai.
Muskurana hi khushi nahi hoti,
Umra bitana hi zindagi nahi hoti,
Dost ko to roj yaad karna padta hai,
Quki dost kehna hi dosti nahi hoti...


No comments:

Post a Comment