Wednesday, April 8, 2009

KAVITA JO ADHURI REH GAY....



Kavita jo adhuri reh gay
Ye nahi ki mai puri nahi karna chahti thi.
Par baat agar bhavnao ke shoonya hone ki hoti,
Ya shabdo ke bhav - pooran sanyojan ki hoti.
Par ye sab to hai mere sath,
Nahi hai to bas tumhari upastithi mere vajood ke sath.
Jis se kavita puri honi thi,
Aisa bhi nahi ki tumhara vajood nahi hain Parantu....
Bhavnao ke samandar me tum mere sath nahi,
Shabdo ka sanyojan mushkil ho gya trumhare bina.
Tum aksar is kavita ki baat karte the,
Jo maine tumhare liye sanyojit karna chaha tha.
Par tum kabhi samaz nahi paye,
Kabhi pad nahi paye in aankon me us kavita ko......
Kabhi meri bhavnao ko aatam - saat nahi kiya,
Ek tarfa hi sahi par gustakhi ki thi maine.
Tumhe chahne ki tum se apni kavita puri karne ki,
Bhool ki thi maine tumhe man hi man apna sarvasva man ne ki.
Bhul jan tum mujhe theek us hi tarah,
Jaise parchaie bhul jati hain vajood apna raat me.
Jhar dena tum mujhe pustak me padi,
Dhool ki tarah apne yado ke gulsahn se.
Bas ek hi kamna hain khush raho jaha bhi raho,
Humesha kadam chume safalta tumhari.
Ye kavita to adhuri rahni thi quki gustakhi meri thi,
Tumhe shabdo me bandkar.

No comments:

Post a Comment