Thursday, November 12, 2009

MAIN....

MAIN SAMJHA THA KI KHATAM MERI DAASTA HUI, VOH PALAT KAR OR BHI LAMBI KAHANI KAR GAYA......

SOCHA....

Socha nahi acha bura dekha suna kuch b nahi...
manga khuda se raat din tere siva kuch b nahi...
dekha tujhe socha tujhe chaha tujhe puja tujhe,
meri Khata meri wafa teri Khata kuch b nahi...
jis par hamari aankh ne moti bichaye raat bhar,
bheja wahi kaagaz use hamne likha kuch b nahi...

Thursday, November 5, 2009

" EHSASA "

Kab Ho Qubuliyat Ki Ghadi Naa Jane
Tumhe Har Dua Me Maangna Chahti Hoon
Ho Jao Tum Mere Aur Mein Tumhari
Har Pal Bass Yahi Ehsaas Chahti Hoon
Tum Se Hi Ki Bass Mohabbat Mein Ne
Apni Saari Zindagi Sang Tumhara Chahti Hoon
Haq Ke Sath Kahoun Tumhe Mein Apna.......
Tum Se Bas Mein Aaj Yahi Raza Chahti Hoon.....

Monday, July 20, 2009

POORA CHAND....

Tanha Tanha lagta hai aadhi raat ka "POORA CHAND"
dil sey baatein karta hai aadhi raat ka "POORA CHAND"
us k pyaar me khoye hum us ki khatir roye hum
deikh k akser hansta hai aadhi raat ka "POORA CHAND"
Ek din thi tanhayi bahut yaad tumhari aai bahut
bilkul tum sa lagta haiaadhi raat ka "POORA CHAND




Wednesday, July 8, 2009

ANKHO ME....

Ankho me raha dil me utar ke nahi dekha,
Kishti ke musafeer ne samandar nahi dekha.
Jis din se chala hu meri manzil par nazar hai,
Aankho ne kabhi mil ka patthar nhi dekha.
Ye fool mujhe koi virasat me mile hain,
Tum ne mera kato bhara bistar nhi dekha.
Patthar mujhe kehta hain mera chahane wala,
Mai mom hu chukar nahi dekha.

Wednesday, June 24, 2009

HUNAR.......

Chehare badalne ka hunar mujh me nahi,
Dard dil me ho to hasne ka hunar mujh me nahi,
Mai to aaiena hu, tujh se tujh jaisie hi mai baat karu,
Tut kar savarne ka hunar mujh me nahi,
Chalte chalte tham jane ka hunar mujh me nahi,
Ek baar mil ke chod jane ha hunar mujh me nahi,
Mai to dariya hu, behta hi raha,
Tufan se dar jane ha hunar mujh me nahi.

Sunday, June 14, 2009

TANHA CHOD KE.....


Tanha chhod ke chal diye jaane kyun
Dil ke tukre hazaar kiye jaane kyun
Najane kya khata huyi humse
Diya pyaar ka ye sila jaane kyun
Naadan dil madhosh hua nasha-e-pyaar mein
Kuch hosh na raha jaane kyun
Saare chitaayein jala di armaano ki
Par tasveer dil se na mita paaye jaane kyun
Tukre tukre huye sapne mere saare
Ashq na baha paaye jaane kyun
Yaadon ke saare chiraag bhuja diye humne
Phir bhi bhula na paaye use jaane kyun
Ab bhi hai intezaar ko unke laut aane ka
Dil ke kisi kone mein basi hai aas jaane kyun