| |
Khali botal si hain ab ye zindagi meri,
Jis me tera nasha na ho aisa jaam na do.
Tum kya rakhoge apne paas un palo ko,
Unhe lauta do par u sare aam na do.
Q samjhoge tum gam e mohabbat ka lekin,
In chalakte aasu o ko pani ka naam na do.
Woqt woqt par badalte hain ye jo tere mijaz,
Pyar mera mausam to nahi aisa ilzam na do.
Parda to tab karu jab aabroo mehfuz ho meri,
Aaiene bhi muh chupaye, aisa anjam na do.
Tum nabz ho amiri jaisie jis me koi jazbat nahi,
Tum meri khamoshiyo ko aisie nabzo ka enam na do.
Hum gum bhi hain gumsum bhi tum kaho to gumnam bhi hum,
Chal pade hain gam - e - raah par hume ab koi payam na do.
Aisa pyar kya mumkin hain jo ho " AKSHAY " sa,
Bikau nahi hai merra pyar tum is ka daam na do.
good nidhi nice thought keep it up
ReplyDeletenice dear ....;)
ReplyDelete