Thursday, April 23, 2009



Chup reh ke u saja na dijiyega.....
Na de sake khushi, to gam hi sahi.....
Par dost bana ke u bhula na dijiyega.....

Khuda ne dost ko dost se milaya.....
Dosto ke liye dosti ka rishta banaya.....

Par kehate hai dosti rahegi us ki kayam.....
Jis ne dosti ko dil se nibhaya.....

Ab or manzil pane ki hasrat nahi.....
Kisi ki yaad me mar jane fi fitrat nahi.....

Aap jaise dost jab se mile.....
Kisi or ko dost baabne ki jaroorat nahi.





Sapno ki handi me, nindo ke chulho par,
Mere andar ka main kuch sapne pakata hain,
Jis se kuch sapne kachche reh jate hai, or kuch jal jate hai,
Or is tarah mere andar ka mai humesha bhuka reh jata hai.

Tuesday, April 21, 2009





"We always destroys what we loves most.
In open field or in an ambush.
Some with the lightness of love,
others with the harshness of the word.
The cowards Destroy with a kiss,
The brave with a sword. "

LOVE IS...

Love is the force mightier than the world and has,
However the most humble you can imagine "

Monday, April 20, 2009

BEST FRIEND...

Best Friend !!!

"A friend is sweet when it is new.
And it is sweeter when it is true.
But you know what?
It is sweetest when it is u. "




Friday, April 17, 2009

DOST KEHNA HI DOSTI NAHI HOTI...


Mat intzar karao hume itana
Ki woqt ke faisale par afsos ho jaye.
Kya pata kal tum lautkar aao,
Or hum khamosh ho jaye.
Durion se farak padta nahi,
Baat to dilo ki nazdikio se hoti hai.
Dosti to kuch aap jaiso se hai,
Verna mulakat to jane kitano se hoti hai.
Dil se khelna hume aata nahi,
Isliye ishq ki bazi hum haar gaye.
Shayad meri zindagi se bahut pyar tha unhe,
Isliye mujhe zinda hi maar gaye.
Man lugin aapko ruthkar to dekho,
Jod lugi aapko tutkar to dekho.
Nada hu par itani bhi nahi,
Thaam lugi aapko chhutkar to dekho.
Log mohabbat ko khuda ka naam dete hai,
Koi karta hai to ilzaam dete hai.
Kehte hai paththar dil roya nahi karte,
Or paththar ke rone ko jharne ka naam dete hai.
Bhigi aankhon se muskurane me maza or hai,
Haste haste palake bhigne me maza or hai,
Baat keh ke to koi bhi samaz leta hai,
Par khamoshi koi samjhe to maza or hai.
Muskurana hi khushi nahi hoti,
Umra bitana hi zindagi nahi hoti,
Dost ko to roj yaad karna padta hai,
Quki dost kehna hi dosti nahi hoti...


Monday, April 13, 2009

KOI EK RISHTA BANA TO SAHI TUM SE....




Chupchap kahin rakha to hai,
Ek khwaab humne dekha to hai
Kal shaam yun hi tanha baidkar
Tere bare me socha to hai,
Doobte sooraj ugte chaand par,
Tere liye paigaam bheja to hai,
Behti hawa,saagar ki lehron par,
Tera hi naam likha to hai,
Aasman ko jab gaur se dekha,
Tera hi chehra dikha humko hai,
Karib ka nahi door ka sahi,
Koi ek rishtaa banaa to SAHI TuM sAy

Sunday, April 12, 2009

KE LIYE MAT AANA....







Ab agar aao to jane ke liye mat aana
Sirf ehsaan jatane ke liye mat aana

Maine palko me tamannaye saja rakhi hai
Dil me umeed ki sau shamme jala rakhi hai
Ye hassi shamme bujhane ke liye man aana

Pyar ki aag me janjeer pighal sakti hai
Chahne walo ki takdire badal sakti hai
Tum ho bebas ye batane ke liye man aana

Ab tum aana jo tumhe mujhse mohabaat hai koi
Mujhse milne ki agar tum ko bhi chahat hai koi
Tum koi rasm nibhane ke liye mat aana.



Thursday, April 9, 2009

IS DIL ME TU HI HAI...



Ye pyaar kya hai ye main na janu,
Yaad aye teri main manu na manu,
Koi chuye to ehsaas to tera hi hai,
Koi chahe to khayal tera hi hai,
Baat kisi se bhi karu,
vo baat teri hi hai,
Koshish jitni bhi karu tujhe bhulne ki,
Par bhulne ki baat to kuch aur hi hai,
Mere sapne main ane vale dilbar,
Is dil main tu hi hai tu hi hai.

Wednesday, April 8, 2009

AB DARD BAN KE PANAPTA HAI WO PYAR WALA PAL.....


Khali botal si hain ab ye zindagi meri,
Jis me tera nasha na ho aisa jaam na do.
Tum kya rakhoge apne paas un palo ko,
Unhe lauta do par u sare aam na do.
Q samjhoge tum gam e mohabbat ka lekin,
In chalakte aasu o ko pani ka naam na do.
Woqt woqt par badalte hain ye jo tere mijaz,
Pyar mera mausam to nahi aisa ilzam na do.
Parda to tab karu jab aabroo mehfuz ho meri,
Aaiene bhi muh chupaye, aisa anjam na do.
Tum nabz ho amiri jaisie jis me koi jazbat nahi,
Tum meri khamoshiyo ko aisie nabzo ka enam na do.
Hum gum bhi hain gumsum bhi tum kaho to gumnam bhi hum,
Chal pade hain gam - e - raah par hume ab koi payam na do.
Aisa pyar kya mumkin hain jo ho " AKSHAY " sa,
Bikau nahi hai merra pyar tum is ka daam na do.

KAVITA JO ADHURI REH GAY....



Kavita jo adhuri reh gay
Ye nahi ki mai puri nahi karna chahti thi.
Par baat agar bhavnao ke shoonya hone ki hoti,
Ya shabdo ke bhav - pooran sanyojan ki hoti.
Par ye sab to hai mere sath,
Nahi hai to bas tumhari upastithi mere vajood ke sath.
Jis se kavita puri honi thi,
Aisa bhi nahi ki tumhara vajood nahi hain Parantu....
Bhavnao ke samandar me tum mere sath nahi,
Shabdo ka sanyojan mushkil ho gya trumhare bina.
Tum aksar is kavita ki baat karte the,
Jo maine tumhare liye sanyojit karna chaha tha.
Par tum kabhi samaz nahi paye,
Kabhi pad nahi paye in aankon me us kavita ko......
Kabhi meri bhavnao ko aatam - saat nahi kiya,
Ek tarfa hi sahi par gustakhi ki thi maine.
Tumhe chahne ki tum se apni kavita puri karne ki,
Bhool ki thi maine tumhe man hi man apna sarvasva man ne ki.
Bhul jan tum mujhe theek us hi tarah,
Jaise parchaie bhul jati hain vajood apna raat me.
Jhar dena tum mujhe pustak me padi,
Dhool ki tarah apne yado ke gulsahn se.
Bas ek hi kamna hain khush raho jaha bhi raho,
Humesha kadam chume safalta tumhari.
Ye kavita to adhuri rahni thi quki gustakhi meri thi,
Tumhe shabdo me bandkar.

MERI PARCHAIEYA...........




Meri parchaieya har woqt mera sath deti hain....
Lekin andhero me bhi wo mera sath chod deti hai.... bevafa sathi ki tarah...
Lekin mayus na ho mere man...
Ek din aisa aayega
Parchaieya bhi tera sath degi har woqt tere saye ki tarah....
Ab mujhe na shikayat hai na koi shikva e.... zindagi.....
Ab to teri bataie huie raho par chalna hain mujhe meri parchaieyo ke sath...

KIDHAR JAOGE....



Ghar se nikale to ho socha hai kidhar jaoge,
Har taraf tej hawae hai bikhar jaoge.
Itna aasan nahi labzo par bharosa karna,
Ghar ki dehleez pukaregi jidhar jaoge.
Shaam hote hi simat jayege sare raste,
Bahte dariya se jaha hoge thehar jaoge.
Har shahar me kuch rate kali hoti hai,
Ghar se divare juda hogi to dar jaoge.
Pehle har chiz naraz aayegi bemani si,
Or fir apni hi nazro se utar jaoge.

Tuesday, April 7, 2009

ZINDAGI..........


Zindgi se hamne kabhi kucch chaha hi nahin
Chaha jise bhi kabhi paya hi nahin
Jise paya use kucch yun kho diya
Jaise zindgi me kabhi koi aaya hi nahin.

YE DIL UDAS HAI BAHUT......

Ye dil udaas hai bahut
Ye dil udaas hai bahut koi paighaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do
Meri kismat me gham-e-tanhai hai lekin
tamam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Ye janta hoon ke umr bhar tanha mujhko rehna hai
magar pal do pal, ghadi do ghadi mera naam hi likh do
Chalo hum maan lete hain saza ke mustahiq thehre
koi inaam na likho, koi ilzaam hi likh do.

Monday, April 6, 2009

TERA SATH....



Mujhe zindagi me kuch or nahi, Bas tera sath chahiye.
Hatho me kuch or nahi, Bas tera hath chahiye.
Tu deepak bankar jalta rahe, Mere is aagan me.
Tu khushboo bankar mehakta rahe, Meri in sanso me.
Paa kar tujh ko kho na du, Ye tera ekraar chahiye.
Mujhe zindagi me kuch or nahi, Bas tera sath chahiye.
Hato me kuch or nah,i Bas tera hath chahiye.

Teri bahon me seer rakhkar katoon , Sari rato ko.
Teri raho me duniya ko dekhu, Surmaie ankhiyo se.
Tera karu mai tujh ko arpan, To fir hoga mujh ko kya gam.
Bas tu hi mujh se muh mod na le, Ye tera vishvas chahiye.
Mujhe zindagi me kuch or nahi, Bas tera sath chahiye.
Hato me kuch or nai, Bas tera hath chahiye.

JO MIL JAO AGAR.....



Ettefak se jo mil jao agar
To mat puchna vahi ankahe sawal nigahon se......
Kyoki meri khamoshi fir tumhe tod degi
Or main bikhar jaoogin apne sawalo ko sametate sametate...................

Thursday, April 2, 2009

APNE HATHO KI LAKEERO.....



Apne hatho ki lakeero me saja le mujh ko,

Main hu tera naseeb, apna bana le mujh ko.

Wednesday, April 1, 2009

TERI YAAD....



Yado me teri khoye hue,

Pata hi nahi chala kab shaam ho gaie.
Ek aahat huie thodi ghabrahat huie,
Fir socha, Ab to ye baat aam ho gaie.
Roj chalti hain ye purvaie aur
Akele reh jate hain mai or meri tanhaie.
Jee karta hai tujhe apna bana lu,
Par kya kare?? Rahe itani jo viran ho gaie.
Tera khayal jab bhi aata hain,
Dil me ek sailab sa lata hain.
Jis khushi par naaz tha hame,
Wo khushi hi hum se anjan ho gaie. Kya kahu ki kya fareb khaya hai?? Galtiya kar ke to dekho,,,,, mai bhi to badnam ho gaie. Tujhse koi gila nahi mujhe, Ab to ashqk bahati aankhen bhi pareshan ho gaie. Yado me teri khoye hue,
Pata hi nahi chala kab shaam ho gaie.