Wednesday, June 24, 2009

HUNAR.......

Chehare badalne ka hunar mujh me nahi,
Dard dil me ho to hasne ka hunar mujh me nahi,
Mai to aaiena hu, tujh se tujh jaisie hi mai baat karu,
Tut kar savarne ka hunar mujh me nahi,
Chalte chalte tham jane ka hunar mujh me nahi,
Ek baar mil ke chod jane ha hunar mujh me nahi,
Mai to dariya hu, behta hi raha,
Tufan se dar jane ha hunar mujh me nahi.

Sunday, June 14, 2009

TANHA CHOD KE.....


Tanha chhod ke chal diye jaane kyun
Dil ke tukre hazaar kiye jaane kyun
Najane kya khata huyi humse
Diya pyaar ka ye sila jaane kyun
Naadan dil madhosh hua nasha-e-pyaar mein
Kuch hosh na raha jaane kyun
Saare chitaayein jala di armaano ki
Par tasveer dil se na mita paaye jaane kyun
Tukre tukre huye sapne mere saare
Ashq na baha paaye jaane kyun
Yaadon ke saare chiraag bhuja diye humne
Phir bhi bhula na paaye use jaane kyun
Ab bhi hai intezaar ko unke laut aane ka
Dil ke kisi kone mein basi hai aas jaane kyun

Tuesday, June 2, 2009

KISI KI YAAD ME.....

Kisi ki yaad dil me hai, Koi ahsaas baki hai,
Badalte mausam ke darmiyan, Ek raj baki hai.
Abhi to mai safar me hu, Milengi manzile mujh ko,
Magar in rasto ke darmiyan, Ek sath baki hai,
Kahi par sham dhalti hai, Kahi par raat hoti hai,
Abhi to chandi hai, Chandni raat baki hai,
Chale aao kisi din tum, Humara haal bhi dekho,
Humara jism murda hain, Magar ek saans Baki hain,
Ye hi umeed hain fir bhi, Milega wo mujhe ek din,
Khuda par hai bharosa , Or khuda ki zaad baki hai.

Wednesday, May 27, 2009

YE AMAR RASMO RIWAZO...

Ye amar rasmo riwazo ki bagawat hai to hai, Hume tum se mohabbat hai to hai,
Sach ko sach kehna tha to keh diya, Ab jamane bhar ko mujh se shikayat hai to hai,
Jal gaya parvana to is me shama ki kya khta, Raat bhar jalna un ki kismat hai to hai,
Kab kaha maine ki tum mil jao mujhko, Gair na ho jao bas itani hasrat hai to hai,
Door the door hai zameen aasman, Fir bhi dono me kurbat hai to hai,
Ye amar rasmo riwazo ki bagawat hai to hai, Hume tum se mohabbat hai to hai,

Thursday, May 21, 2009

MERA NASEEB....

Mai teri hatheli par gar mahkun, mera naseeb,
Chhkun, kabhi bahkun, kabhi bahkun mera naseeb!
Takleef meri tera sarokar bane kyon,
Mai apni hi aankhon se jo chhalkun, mera naseeb!
Tu meri taraf dekhe , jaroori to nahi hai,
Par mai tere is rang ko dekhun, Mera naseeb!
Apno ka bharam deke, parayo ki tarah mil,
Mai apne makadjal me uljhun, mera naseeb!
Jasbat ka rishta hain, tamasha to nahi hai,
Mai is ke samandar me dubun , mera naseeb!
Tum mujhko biyabaan ke sapne sa bhula do,
Mai apne biyabaan main bhatkun, mera nasseb!
Ukhda hua nakhoon hu kuch tees to dunga,
Mai toot ke agar dhul me liptun, mera naseeb!

Tuesday, May 19, 2009

TUm MUJHKO ACHCHE LAGTE HO...

Ek Baat Kahoon Jo Suntey Ho?

Tum Mujh Ko Achey Lagtey Ho.
Kuch chanchal se , kuch chup chup se

Kuch pagal pagal lagtey ho

Hain chahney waaley aur buhut,

Par tum mein hai aik baat Alag.

Tum apney apney lagtey ho,

Ek Baat Kahoon Jo Suntey Ho?

Tum Mujh Ko Achey Lagtey Ho.

Yeh baat baat pe kho jaana

Kuch kehtey kehtey ruk jaana

Yeh kiss uljhan mein rehtey ho....?

Kiya baat hai hum se keh daalo

EkBaat Kahoon Jo Suntey Ho?

Tum Mujh Ko Achey Lagtey Ho

HUM NAZUK NAZUK DIL WALE....

Ham nazuk nazuk dil wale, Kabhi hanste hain kabi rote he

Kabhi dil mein khwab perote hain, Kabhi mehfil mehfil phirte hain,

Kabhi rat mein gum ho jate hain, Kabhi geet labo pe ate hain,

Kabhi chup ki mohar sajate hain, kabhi lambi tan ke sote hain,

Kabhi shubah bhar jagte rehte hain, Kabhi sabka dil behlate hain,

Kabhi khod tnha ho jate hain. Ham nazuk nazuk dil wale busapne ap mein rehte hain.